Baadalon Ki Gehraaee
Baadalon ki gehraaee mein soche kya huzoor
Oonche oonche chehre hai zameen se kitne door
Aahen bharti hai yeh thandi hawa
Aise rangeen raahon mein ab humko kya hua
Chaand se taaron ka hai, aapas ka faasla
Beech mein yeh gehna hai, yeh gehna duniya
Is duniya ko kehte majboor
Meetha diya khud hasti ko yeh hai kiska kusoor
Tamanna hai yahi, aise yun kabhi
Hum basaye koi, naya jahan
Aashna ho yeh dil, pyaar ke kaabil
Saaj aisa bhi ho, sune jahan
Musafir ko mile raasta
Zamaane ko mile vaasta
Kaise kaise parvaane ki baaten mashoor
Jaise yeh nazraane hai vaise hai yeh suroor
Hai yakeen dil mein, subah aayegi zaroor
Mitega yeh andhera hoga har ek shay mein noor
Pyaar karte idhar, yaar banthe idhar
Daastane sifar sunoh yahan
Yeh bhi honge khafa, kya patha kya gila
Har kadam pe mile koi naya
Musafir ko mile raasta
Zamaane ko mile vaasta
No comments:
Post a Comment