Wednesday, 14 September 2011

PYAAR_KI

Pyaar Ki Duniya
Jahaan hai meri pyaar ki duniya
Woh thandi chaaon ki duniya
Aaj ye dil karta hai mastiyon mein gaaoon main wahan
Aankhon mein chal ke aayi teri yaad re
O mitwaa pyaar tera bhool ke main jaaoonga kahan
Chamakti ghataaon mein tera aashiyaana hai
Tujhe pesh yeh mera dil nazraana hai
Tamannaein meri rehti hai wahan
Turatiyaan chalti hai wahan
Payaliyaan bajti hai wahan
Hariyaali hai muskaai mere desh mein
Aaj ye dil karta hai mastiyon mein naachoon main wahan
Inhi parbaton mein woh tumhari sadaayein hain
Khayalon mein teri machalti adaayein hain
Suhaana hai ye apnan silsila
Ab dil se dil mila, na tum se hai gila yeh afsaana
Hmm...O saathi dil ko samjhaana
Bholi bhali mitti ka ye dil hai deewana
Har dil to azaad watan ke pyaar ka parwana
Aye aa aye aa oo aa aye ya, aye aa aye aa oo aa aye ya
Jahaan hai meri pyaar ki duniya
Woh thandi chaaon ki duniya
Aaj ye dil karta hai mastiyon mein gaaoon main wahan
Aankhon mein chalke aayi teri yaad re
O mitwa pyaar tera bhool ke main jaaoongaa kahan
Aye aa aye aa oo aa aye ya, aye aa aye aa oo aa aye ya

No comments:

Post a Comment