Sunday 30 December 2012

LUCKY_A2

Behti Nadi
Behti nadi ka rukh kal yahaan, kal kahaan
Kya pata, kya khabar
Kyon chal diya karke yoon bekaraar
Yeh dil ab mera mane na
Kisi bhi bahane tum tak aate they
Tumhe yeh bataane ke kitna chahte they
Aisi baat thi
Samjhey nahin jo hum samjhate they
Keh jaate the, aankh churaate they
Aisi baat thi
Raat bhar soye nahin, they sawaal mein
Jaage rehte hum to, tere khayaalon mein
Hum sa deewana tune dekha hai kaheen
Gumsum rehtey they, saari baatein saheen
Dil pe bani hai bas teri tasveer
Mujhe kya pata hai kya hai meri taqdeeer
Ke mein rahoon paas tere, door rahoon
Baahon mein kabhi tum hum ko mil jaate
Hont abhi bhi shaayad sil jaate
Aisi baat thi
Jab se tere hum hawale huye
Raasta nazar aane laga
Thodi jo wafa hum tumse karte hain
Yaaron aisa lagta hai kam karte hain
Aisi baat thi
Dil ne yahi, jo kaha tha kabhi
Waqt kehne laga ab zara
Pyaar ka tarana hai yeh
Suno to bhalaa
Dais mein kharabi hai kya
Arey, thehro to zara
Kaisa naseeba dil waalon ka hai yeh
Mil ke na mil paaye kya faasla hai yeh
Sacchi wafaaon ka shaayad sila hai yeh
Paayenge phir bhi tujh ko, hoslaa hai yeh

No comments:

Post a Comment