Sunday 30 December 2012

LUCKY_A8

O Sanam
Shaam savere teri yaadein aati hain
Aa ke dil ko mere yoon tadpati hain
O sanam, mohabbat ki kasam...
Mil ke bichadna to dastoor ho gaya
Yaadon mein teri majboor ho gaya
O Sanam, teri yaadon ki kasam...
Samjhe zamana ki dil hai khilona
Jaana hai ab kya hai dil ka lagaana
Nazron se ab na hum ko giraana
Mar bhi gaye to bhool na jaana...
Aankhon mein basi ho, par door ho kahin
Dil ke kareeb ho ye mujhko hai yakeen
O Sanam, tere pyaar ki kasam...

No comments:

Post a Comment