Sunday 30 December 2012

NAHI_RAK

Nahin Rakhta Dil Mein
Nahin rakhta dil mein kuch rakhta hoon zubaan par
Samjhe na apne bhi kabhi
Keh nahin sakhta main kya sehta hoon chupaakar
Ek aisi aadat hai meri
Sabhi to hai jinse milta hoon
Sahi jo hai inse kehta hoon
Jo samajhta hoon
Maine dekha nahin rang dil aaya hai sirf adaa par
Ek aisi chaahat hai meri
Bahaaron ke ghere se laaya main dil sajaakar
Ek aisi sohbat hai meri
Saaye mein chaaye rehta hoon
Aankhen bichaye rehta hoon, jinse milta hoon
Kitnon ko dekha hai humne yahan
Kuch seekha hai humne inse naya
Pehle phursat thi ab hasrat hai samaakar
Ek aisi uljhan hai meri
Khud chaslke rukta hoon jahan jis jagah par
Ek aisi sarhad hai meri
Kehne se bhi main darta hoon
Apnon ki dhun mein rahta hoon.
Kar kya sakhta hoon
De sakhta hoon main thoda pyaar yahan par
Jitni haisiyat hai meri
Reh jaaoon sab ke dil me dil ko basaakar
Ek aisi neeyat hai meri
Ho jaaye to bhi raazi hoon
Kho jaaye to main baaki hoon
Yun samajhta hoon
Raste na badle na badla jahan
Phir kyon badalte kadam hai yahan

No comments:

Post a Comment