Chaand Sitare
Chand sitare, phool aur khushboo, yeh to saare purane hain
Taaza taaza kali khili hai, hum uske deewane hai
Hun - hun hun-hun hun hun-hun
Kaali ghatayen, barkha sawan, yeh to sab afsaane hai
Taaza taaza kali khili hai, hum uske deewane hai
Andaaz hain uske naye naye, hai naya naya deewanapan
Pehena ke taaz jawani ka, haske laut gaya bachpan
Geet ghazal sab kal ki baatein, uske naye tarane hai
Taaza taaza kali khili hai, hum uske deewane hai
Hai roop mein itna saadapan, to kitna sunder hoga mann
Bin gehne aur shringaar bina, woh to lagti hai dulhan
Arre kajal bindiya, kangan jhumke, yeh to guzre zamane hain
Taaza taaza kali khili hai, hum uske deewane hai
Hun hun- hun hun hun-hun
Oh - oh - oh oh
La - la - la - la
No comments:
Post a Comment