Yeh Mumbai Nagariya
Yeh mumbai nagariya, main dhoondo dagariya
Dil se boloon, jaan se boloon
Main hoon mumbaiya
Yeh mumbai nagariya, main dhoondo dagariya
Charon taraf kuch na aaye mujhko nazariya
Dil se boloon, jaan se boloon
Main hoon mumbaiya
Borivali, Andheri, Lower Parel
Note, sikkey, rupiyon ka hai yahan khel
Jawani ke mele yahaan hote hain sale
Jisey chahe, jahaan chahe mil jaaye khel
Dil se boloon, jaan se boloon
Main hoon mumbaiya
Jidhar dekhoon nazar aaye log pareshaan
Aata, roti, dal, chaawal ka hai imtehaan
Platform logon ke bane hai makaan
Bhookh, pyaas, daud, dhoop iske nishaan
Dil se boloon, jaan se boloon
Main hoon mumbaiya
Jise poocho kahe woh to main hoon insaan
Tu hai insaan to hoon main bhi hairaan
Kaam yahan dugna hai, daam anjaan
Mein kahin aur nahin, yeh hai Hindustan
Dil se boloon, jaan se boloon
Main hoon mumbaiya
No comments:
Post a Comment