Na Tum Jaano Na Hum
Kyun chalti hai pawan, kyun jhoome hai gagan,
Kyun machalta hai mann, na tum jaano na hum
Kyun aati hai bahaar, kyun lutatta hai karaar,
Kyun hota hai pyaar, na tum jaano na hum
Yeh madhoshiyan, yeh tanhaiyan, tasaboor mein hai kis ki parchaiyan
Yeh bheega sama, umange jawan, mujhe ishq le ja raha hai kahan,
Kyun gum hai har disha, kyun hota hai nasha,
Kyun aata hai mazaa, na tum jaano na hum
Dhadakta bhi hai, tadapta bhi hai,
Yeh dil kyun achanak behakta bhi hai,
Mehekta bhi hai, chehekta bhi hai,
Yeh dil kya wafa ko samajhta bhi hai
Kyun milti hai nazar, kyun hota hai asar,
Kyun hoti hai saher, na tum jaano na hum
Kyun chalti hai pawan, kyun jhoome hai gagan,
Kyun machalta hai mann, na tum jaano na hum
No comments:
Post a Comment