Tum Hi Se
Raat chaandni chaai hui hai
Chamak raha hai tara
Thandi thandi yeh purvaee
Socho kisne banaya
Tum hi ho pehley
Tum hi ho aakhir
Tum hi se saara jahaan
Tum hi se maa baap
Tum hi se bachpan
Tum hi se samaa
Par, parinde, paani ka jharna
Tum se chaman ka mehekna
Neele neele phoolon mein bhavron
Ka hai yahi gungunaana
Tum hi se shabnam
Tum hi se khushboo
Tum hi se hai yeh bahaar
Tum hi se jhonke mast hawaa ke
Tum hi se fiza
Dono jahaan ka tu hai ujaala
Rab, tune hai humko paala
Tera hai ambar, teri hai dharti
Tera hai yeh jag saara
Tum hi se badal
Tum hi se saawan
Tum hi se hai yeh ghata
Tum hi se bijli
Tum hi se toofan
Tum hi se khumaar
No comments:
Post a Comment